Gum aur nahi, ek hi kafi hai
wajood nahi, teri yaad hi kafi hai
Hum reh gaye is jahan main; taraste, bilakhte
Muddaton se ankahee humari kahani baaki hai
Kyun kashmakash main pade rahe
kuch hum aur kuch tum, yun naadan
Kyun sargoshi se kah chale
tum apne dil ki daastan
kyun ruke nahi meri maun pukaron se
Kyun kar chale ruswa bhari mehfil main yunhi
Kyun dete rahe sazaa banke humraaz mere
Kyun badte rahe adig, rond ke khwab mere
Kyun samjhe nahi tum, ki shabd hote hain khokle
Bavle, manchale; aparibhashit ashru se nahi
Kyun nahi samjhe meri tatparta ke abhav ko
Kyun nahi jaane shaalinta ke libaas ko
Kyun nahi kahe ki aye shamaa jalti raho
Kyun nahi samjhe ki uske bina bas andhera hi baaki hai
Gum aur nahi ek hi kaafi hai
wajood nahi, teri yaad hi baaki hai
No comments:
Post a Comment